Awaazon Ke Mohtaaj Hain Tere Jazbaat Yahan...
Magar, Is Khamoshi Ko Pehchan Ne Mein Zamaane Lagenge
Aag Lagaayi Thi Tune, Wo Toh Bujh Gayi Kabb Ki
Magar, Is Dil ki Jalan Ko Bujhane Mein Zamane Lagenge…
Kuch Yaadein Meri, Bikhri Si, Yaad kar.. bhool Gayi Hogi…
Magar, Us Dard Ko Sametne Mein Zamane Lagenge…
Katal Karke Pyar Ka, Muskurana Seekha tha tune…
Magar, Is Khanjar Ke Nishaan Mitane Mein Zamane Lagenge
Dooriyon Ka Ehsas tha, Aur Ab Takk Kayam Hai,
Magar, Un Tanha Khwabon Ko Jagane Mein Zamane Lagenge…
-Yours Truly,
Webhav aka Vaistorm
No comments:
Post a Comment